BHAJANs LYRICS

BHAJAN's

Wednesday, February 25, 2009

SUKH SE SAB SAATHI - LYRICS

aaa
sukh ke sab saathi dukh mein na koi
sukh ke sab saathi dukh mein na koi
mere Raama, mere Raama
teraa naam ik saanchaa doojaa na koi
sukh ke sab saathi dukh mein na koi

jeewan aani jaani chhaayaa
jeewan aani jaani chhaayaa
jhoothi maayaa jhoothi kaayaa
phir kaahe ko saari umariyaa
phir kaahe ko saari umariyaa
paapki gathri dhoyi
sukh ke sab saathi dukh mein na koi

naa kuchh teraa naa kuchh meraa
naa kuchh teraa naa kuchh meraa
ye jag jogi waalaa pheraa
raajaa ho yaa rank sabhi kaa
raajaa ho yaa rank sabhi kaa
ant ek saa hoi
sukh ke sab saathi dukh mein na koi

baahar ki tu maati phaanke
baahar ki tu maatii phaanke
manke bhiitara kyuu.n na jhaa.nke
ujale tanpar maan kiyaa
ujale tanpar maan kiyaa aur
man kii maila na dhoii
sukh ke sab saathi dukh mein na koi
mere Raama, mere Raama
teraa naama ik saanchaa duujaa na koi
sukh ke sab saathi dukh mein na koi

No comments: